Friday 20 May 2011

ARZ HAI.........



Din ki roshni par chaaye hue the gham ke baadal,
Raat ke andheron si kaali thi jahaan mein maayoosi,
Lamha lamha bechaini kiya karti thi mujhko ghaayal,
Pal pal takleefein ubhar aati tez nukeeli talwaaron si.


Kehte hain ummeed par duniya khaayam hai,
Par sochne ki baat toh ye hai,
Jab khaayam nahi ummeed toh kaise hogi duniya khaayam,
Lekin sochne waali baat toh ye bhi hai,
Ke ummeed chaahe khaayam ho na ho,
Duniya toh sadaa hi rahegi khaayam,
Kyunki ummeed ko khaayam insaan rakhta hai,
Aur duniya ko khaayam khuda rakhta hai.


Waakhif mai tab hui is baat ki haqeeqat se,
Jab bawajood ummeed khaayam na hone ke,
Din ki roshni par se hat gaye gham ke baadal,
Na rahi ab woh raat ke andheron si kaali maayoosi,
Har lamha bechaini ka badal gaya lamha-e-masarrath mein,
Aur leliya rang gulon ka pal pal ki takleefon ne.


Kabhi nahi socha tha maine,
Ke is ibteda ki intehaa laayegi khushi ka paigaam,
Par ye bhi toh laazmi nahi,
Ke aaghaaz bura ho toh bura ho anjaam!!! 

0 comments:

:)) ;)) ;;) :D ;) :p :(( :) :( :X =(( :-o :-/ :-* :| 8-} :)] ~x( :-t b-( :-L x( =))

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...